HTML kya hai?

HTML ka pura naam **HyperText Markup Language** hai. Yeh kisi bhi web page ka structure banane ke liye use hoti hai. Jaise ek insaan ki haddi (skeleton) hoti hai, waise hi HTML ek website ka structure banata hai.

HTML ko **Tim Berners-Lee** ne 1991 mein banaya tha.

Common HTML Tags

1. Heading Tags

HTML mein 6 levels ke heading tags hote hain, jo h1 se lekar h6 tak hain. Inka istemal web page par content ki hierarchy aur importance ko define karne ke liye hota hai.

H1 - Sabse Important Heading

Yeh web page ka main title hota hai. Har page par sirf ek hi H1 tag ka istemal karna chahiye.

Example Code:

Yeh Main Heading Hai

Live Example:

Yeh Main Heading Hai

H2 - Second-level Heading

Iska istemal

ke baad main sections ya sub-topics ko darshane ke liye kiya jata hai. Ek page mein kai H2 tags ho sakte hain.

Example Code:

Yeh Ek Sub-section Hai

Live Example:

Yeh Ek Sub-section Hai

H3 - Third-level Heading

Yeh

ke andar ke sub-sections ke liye use hota hai. Jaise, agar

"HTML Tags" hai, to uske andar "Heading Tags" ko H3 se define kiya ja sakta hai.

Example Code:

Chhote Sub-topics

Live Example:

Chhote Sub-topics

H4 - Fourth-level Heading

Jab aapko

ke andar aur bhi chhote sections banane ho, tab H4 ka istemal kiya jata hai.

Example Code:

Aur Chhoti Heading

Live Example:

Aur Chhoti Heading

H5 - Fifth-level Heading

Yeh aur bhi niche ke level ke sub-sections ke liye use hota hai.

Example Code:

Chhoti Se Chhoti Heading

Live Example:

Chhoti Se Chhoti Heading

H6 - Least Important Heading

Yeh sabse kam important aur sabse chhota heading hota hai.

Example Code:

Sabse Chhoti Heading

Live Example:

Sabse Chhoti Heading

2. Paragraph Tag (p)

Yeh tag paragraph banane ke liye use hota hai. Har paragraph ek nayi line se shuru hota hai.

Example:

Yeh pehla paragraph hai.

Yeh dusra paragraph hai jisme kuch aur jankari hai.

3. Horizontal Rule Tag (hr)

Yeh tag page par ek horizontal line (ek patli rekha) banane ke liye use hota hai, jo content ko alag karne ke kaam aati hai.

Example:

Content ke upar ki line.

Content ke niche ki line.

4. Break Tag (br)

Yeh tag ek line break daalta hai, jisse content agali line mein chala jata hai. Yeh ek self-closing tag hai.

Example:

Line 1

Line 2

Line 3

5. List Tags (ul, ol, li)

Yeh tags lists banane ke liye use hote hain. `